Saturday, October 27, 2007

An Ode to Love

She will always be the love of my life...I meet her everyday inspite of the fact that she is someone else's beloved...she gives me peace and happiness in this world full of conflict and confusion ...she belives in me and thats all that matters to me...here is a small 'kavita' which she wrote for me while I was away from her for 7 months...
Mera Binnu

Zindagi ke is rangmanch mein do dashak ka chalchitra hai ubhar aaya,
Bees baras pehle ke drishyo ko saamne tairta paaya,

Paanch baras ka binnu bewazeh daudta paaya

Bas awaaz lagate hee, pawan veg sa aaya!

Nukkad ki dukaan se yadi saaman mangaya,
Aadha liye haath mein aadha girata aaya,
Daanta jab meine baki saaman bhi
Chatse paas khade tommy ko tha khilaya

Ruuste bisurte binnu ko meine badi mushkil se manaya
Sang sang uske tommy ko bhi jabran thapthapaaya
Bola Ma mein puppy banoonga
Sada teri god mein laad karunga
Gusse ke badle mein muskurayi Bacchhe ke bholepan par meri mamta umad aayi!

Kuch bada hua to bana cricket khiladi

Acchhe acchhe ballebaaz uske aage lagte the anadi

Ek din balcony se dekh rahi thi nazara

Du manzila khidki ka kaach tut ke neeche aaya

Vegvaan ball ka bojh seh na paaya

Jab tak us makan ki malkin thi neeche aayi
Tab tak saari ki saari team nadarad pai!


Bas khada vaha tha sach ka ek sipahi

Gusse bhari daat bas akele usne hee thi khayi

Tabhi kuch bacchiya daud ke saamne aayi

Iski galti nahi hai, zor se woh chillayi!

Bhari man se meine us se iska sabab tha poocha

Uttar diya mujhko usne bada anutha
Bola Ma mere zhidki khane se khatm hua hai kissa

Fark nahi padta hai kyu ki mein bhi hu us hee team ka hissa,

Kuch na keh bas meine pee liya apna gussa!

Baarish ke din the aur hum baithe the ghar ke andar

Poocha meine bade hokar kya banega mera mast kalandar

Bola jab ek ped se duje ped par bandar ki Ma uchla karti hai
Apne bacche ko hamesha saath liya karti hai,

Ma mein bhi banke rahunga tera bandar

Chahe jaana pade mujh ko paar saat samundar
Aisa uttar sunke mein hasi rok na payi

Uski maasumiyat par mein balihari jai!


Yuva hokar jab bacchhe chale jaate hai saat samundar paar

Email chat aur telephone ki ghanti ka Ma karti hai intezar
Yadi bachpan mein kuch aur pal unke saath jiya hota

Aaj akele mein man yu na udas hua hota!


Ma chitrakatha ki pustak mein zara rang bhar de
Homework ke do sawaal jaldi se hal kar de

Ma ek aur kahani suna de
Thodi si lori aur suna de
Phir kar doongi kehke Ma karya rat ho jaati
Ek din mein 24 ghante kam padte hai, yehi sochti jati!


Kal waqt nahi tha aur unki nanhi bholi baatoon se aksar hote the bezaar

Aaj unhee palo ko yaad kar, karte hai ek ek pal ka intezaar!


She is my Mom...I hope...no...I know, that I will be a good son to her...
Love always,
Binnu!!

2 comments:

getjayant said...

Baba.....I am sure....you are a good son for her.
hats off to the poem!!!

Priya Elinjeril said...

SO beautifully written!